I will start by saying that this drama cheekh is extraordinary drama. The acting of Saba Qamar and Bilal Abbas was amazing.I appreciate the story of this drama as it is very close to the reality and also it is very sensitive topic in Pakistan.
bht se logon ka sawal tha k ye drama hmen kya lesson de rha hy k ek larki ne sach ka sath dene k lie apna sab kuch qurban kr dia?kya sach ki itni bari qeemat chukani parti hy? agr aesa hy to koi bhi kal ko sach nhi de ga q k har ek ko apni family apne rishty bht aziz hoty hen.
lkin nahi aesa nhi hay.ye drama hmen bta rha hy k ek aurat kitni mazbot hoti hy k wo sach ka sath dene k lie apna sb kuch qurban kar sakti hy.phr sawal ata hy..at what cost? sach ka sath dene k lie qeemat is dunia me determine ki gai hy r ham sab janty hen k ye dunia fani hy hm ne yahan ni rehna hmesha.
Hmen ALLAH ko jawab dena hy.Islam ya koi bhi mazhab hmesha sach ka sath dene ka kehta hy. victim ka sath den ta k wo justice le saky wrna kal ko hmri societry aese hazaron victim se bhar jae gi r in sb ko rokna mushkil ho jae ga.sach ka sath den hr qeemat pe.ALLAH pak iska ajar hmen akhirat men zror dega INSHAAllah.
ye MANAT k lie bht hi mushkil tha apny rishton ko apni family ko kho dena q k ameer logon k pas pason ki power hoti hy jis se wo ap se hr chez cheen skty hen.lkn wo qaim rahi sach k sath men q k wo janti thi k sach ka sath de k us ka kam se kam zameer to mutmain rahe ga.ek dil ko cho jane wala dialogue tha MANAT ka k "men dunia men ye missal nahi qaim karon gi k sach bolne wala har jata hy".
Hum men se kitny hen jo KARBALA k message ko janty r samjhty hen? hm ne karbala se bht kuch sekha hy jin me se kuch points ye hen k:
- zilat qabol na karen
- tang-nazri se bahir niklen
- sach ka sath den
- Allah ki razamandi ko sb pe tarjeh den chahe us k lie kuch bhi qurban krna pary
"is jang men bazahir men sb kuch har bethi hoon,wo sab kuch jiska azala na mumkin hy,ek shafeq maa,behtareen dost jesa shohar r wo masom jaan jise abhi is dunia men ana tha.Haq r sach ki qeemat chukani parti hy r mene bharpor qemat chukai hy our jo kuch mene khoya hy wo na to mera nuksan hy na hi shikast,ye to wo azmaish thi jise guzarna teh tha.ye mujhy kamzor nhi mazbot krne k lie thi.
ye ehsas dilane k lie k ALLAH badataren se guzar kar behtaren se nawazta hay.chup reh k munafqat ka sath deti to apni hi nazron men gir jati.cheekh kr aj khud se nazren milane k qabil hon.zulm ka sath deti to sari zindgi malamit karti mazlom ka sath de k mutmaen hon.ALLAH misal banane k lie kisi ek ko chunta hy r wo men thi."
Lets be strong for truth to win.
0 Comments